Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-nam-e-ishq yahi ek kaam karte hain

Tariq Naeem

ba-nam-e-ishq yahi ek kaam karte hain

Tariq Naeem

MORE BYTariq Naeem

    ba-nām-e-ishq yahī ek kaam karte haiñ

    ye zindagī safar us ke naam karte haiñ

    ajab nahīñ dar-o-dīvār jaise ho jaa.eñ

    ham aise log jo ḳhud se kalām karte haiñ

    ye māh-rū bhī to hote haiñ āñsuoñ tarah

    kisī aañkh meñ kab ye qayām karte haiñ

    ġhazab dhuup hai ab ke safar meñ ham-nafaso

    kisī ke sāya-e-gesū meñ shaam karte haiñ

    tumhī ne saath diyā zindagī rāhoñ meñ

    kitāb-e-umr tumhāre naam karte haiñ

    kuchh is tarah tirī āñkhoñ meñ ashk haiñ jaise

    shab-e-siyah meñ sitāre ḳhirām karte haiñ

    ajiib log haiñ 'tāriq-na.īm' shahr ke bhī

    ye tīr-e-hijr diloñ meñ niyām karte haiñ

    ba-nam-e-ishq yahi ek kaam karte hain

    ye zindagi ka safar us ke nam karte hain

    ajab nahin dar-o-diwar jaise ho jaen

    hum aise log jo KHud se kalam karte hain

    ye mah-ru bhi to hote hain aansuon ki tarah

    kisi ki aankh mein kab ye qayam karte hain

    ghazab ki dhup hai ab ke safar mein ham-nafaso

    kisi ke saya-e-gesu mein sham karte hain

    tumhi ne sath diya zindagi ki rahon mein

    kitab-e-umr tumhaare hi nam karte hain

    kuchh is tarah teri aankhon mein ashk hain jaise

    shab-e-siyah mein sitare KHiram karte hain

    ajib log hain 'tariq-naim' shahr ke bhi

    ye tir-e-hijr dilon mein niyam karte hain

    Source:

    ruki huii shamon kii raahdaariyaz (Pg. 135)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now