Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-qadr-e-hausla koi kahin koi kahin tak hai

Sajjad Baqar Rizvi

ba-qadr-e-hausla koi kahin koi kahin tak hai

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

    ba-qadr-e-hausla koī kahīñ koī kahīñ tak hai

    safar meñ rāh-o-manzil ta.ayyun bhī yahīñ tak hai

    na ho inkār to isbāt pahlū bhī kyuuñ nikle

    mire isrār meñ tāqat faqat terī nahīñ tak hai

    udhar vo baat ḳhushbū tarah uḌtī thī galiyoñ meñ

    idhar maiñ ye samajhtā thā ki mere ham-nashīñ tak hai

    nahīñ kotāh-dastī gila itnā ġhanīmat hai

    pahuñch hāthoñ apne apne jeb-o-āstīñ tak hai

    siyāhī dil phūTegī to phir nas nas se phūTegī

    ġhulāmo ye na samjho dāġh-e-rusvā.ī jabīñ tak hai

    phir aage marhale tai ho raheñge himmat-e-dil se

    jahāñ tak raushnī hai ḳhauf-e-tārīkī vahīñ tak hai

    ilāhī bārish-e-abr-e-karam ho fasl duunī ho

    ki 'bāqar' to aamad bas isī dil zamīñ tak hai

    ba-qadr-e-hausla koi kahin koi kahin tak hai

    safar mein rah-o-manzil ka tayyun bhi yahin tak hai

    na ho inkar to isbaat ka pahlu bhi kyun nikle

    mere israr mein taqat faqat teri nahin tak hai

    udhar wo baat KHushbu ki tarah uDti thi galiyon mein

    idhar main ye samajhta tha ki mere ham-nashin tak hai

    nahin kotah-dasti ka gila itna ghanimat hai

    pahunch hathon ki apne apne jeb-o-astin tak hai

    siyahi dil ki phuTegi to phir nas nas se phuTegi

    ghulamo ye na samjho dagh-e-ruswai jabin tak hai

    phir aage marhale tai ho rahenge himmat-e-dil se

    jahan tak raushni hai KHauf-e-tariki wahin tak hai

    ilahi barish-e-abr-e-karam ho fasl duni ho

    ki 'baqar' ki to aamad bas isi dil ki zamin tak hai

    Source:

    Kulliyat-e-Baqir (Pg. 181)

    • Author: Sajjad Baqir Rizvi
      • Edition: 2010
      • Publisher: Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now