aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-qaid-e-waqt ye muzhda suna raha hai koi

Seemab Akbarabadi

ba-qaid-e-waqt ye muzhda suna raha hai koi

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    ba-qaid-e-vaqt ye muzhda sunā rahā hai koī

    ki inqalāb ke parde meñ aa rahā hai koī

    ḳhudī ko rāh-e-ḳhudā.ī pe rahā hai koī

    abhī dimāġh-e-bashar aazmā rahā hai koī

    jahāñ ḳharāba-e-hastī miTā rahā hai koī

    vahīñ kahīñ na.ī duniyā banā rahā hai koī

    abhī naqāb-kushā.ī-e-husn hai dushvār

    vahī uThe hue parde uThā rahā hai koī

    jo zehn meñ hai vo tasvīr ban nahīñ chuktī

    banā banā ke hayūle miTā rahā hai koī

    bhulā rahā hai kisī ko bar-binā-e-ma.āl

    ye ġhaur kar ki bhulāyā bhī rahā hai koī

    dil-e-fasurda bātoñ pe ye tabassum-e-nāz

    kalī ko phuul banānā sikhā rahā hai koī

    vafā daad hai kotāhī-e-vafā dalīl

    maiñ jāntā huuñ ki himmat baḌhā rahā hai koī

    hadīs-e-kohna hai rūdād-e-inqilāb-e-chaman

    sunī huī kahānī sunā rahā hai koī

    mirī vafāoñ hai e'tirāf mere ba.ad

    ḳhoshā-nasīb mujhe kho ke rahā hai koī

    hai apne saa.e se vahshat meñ kis qadar taskīñ

    samajh rahā huuñ mire saath aa rahā hai koī

    nasīb-e-zauq ho 'sīmāb' qismat-e-mūsā

    hameñ bhī tuur jānib bulā rahā hai koī

    ba-qaid-e-waqt ye muzhda suna raha hai koi

    ki inqalab ke parde mein aa raha hai koi

    KHudi ko rah-e-KHudai pe la raha hai koi

    abhi dimagh-e-bashar aazma raha hai koi

    jahan KHaraba-e-hasti miTa raha hai koi

    wahin kahin nai duniya bana raha hai koi

    abhi naqab-kushai-e-husn hai dushwar

    wahi uThe hue parde uTha raha hai koi

    jo zehn mein hai wo taswir ban nahin chukti

    bana bana ke hayule miTa raha hai koi

    bhula raha hai kisi ko tu bar-bina-e-maal

    ye ghaur kar ki bhulaya bhi ja raha hai koi

    dil-e-fasurda ki baaton pe ye tabassum-e-naz

    kali ko phul banana sikha raha hai koi

    wafa ki dad hai kotahi-e-wafa ki dalil

    main jaanta hun ki himmat baDha raha hai koi

    hadis-e-kohna hai rudad-e-inqilab-e-chaman

    suni hui si kahani suna raha hai koi

    meri wafaon ka hai e'tiraf mere baad

    KHosha-nasib mujhe kho ke pa raha hai koi

    hai apne sae se wahshat mein kis qadar taskin

    samajh raha hun mere sath aa raha hai koi

    nasib-e-zauq ho 'simab' qismat-e-musa

    hamein bhi tur ki jaanib bula raha hai koi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ba-qaid-e-waqt ye muzhda suna raha hai koi Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now