aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baghban ki be-ruKHi se nile-pile ho gae

Arif Ansari

baghban ki be-ruKHi se nile-pile ho gae

Arif Ansari

MORE BYArif Ansari

    bāġhbāñ be-ruḳhī se nīle-pīle ho ga.e

    ḳhaar mānind ab gul bhī nukīle ho ga.e

    bahte dariyā se sabhī sairāb haiñ lekin mujhe

    sirf ik qatra milā bas hoñT giile ho ga.e

    mai-kashoñ ne bas qadam rakkhā thā sehn-e-bāġh meñ

    phūl-patte bel-būTe sab nashīle ho ga.e

    ek aadam se haiñ lekin siyāsat ke nisār

    kis qadar firqe bane kitne qabīle ho ga.e

    mere bachpan zamāna phuul ambār thā

    jaise bachpan gayā ambār Tiile ho ga.e

    ik nazar tanqīd paḌne 'ārif' der thī

    sher jitne the ġhazal meñ sab rasīle ho ga.e

    baghban ki be-ruKHi se nile-pile ho gae

    KHar ki manind ab gul bhi nukile ho gae

    bahte dariya se sabhi sairab hain lekin mujhe

    sirf ek qatra mila bas honT gile ho gae

    mai-kashon ne bas qadam rakkha tha sehn-e-bagh mein

    phul-patte bel-buTe sab nashile ho gae

    ek hi aadam se hain lekin siyasat ke nisar

    kis qadar firqe bane kitne qabile ho gae

    mere bachpan ka zamana phul ka ambar tha

    jaise hi bachpan gaya ambar Tile ho gae

    ek nazar tanqid ki paDne ki 'arif' der thi

    sher jitne the ghazal mein sab rasile ho gae

    Source:

    Khushboo Ke Ta'aqub main (Pg. 100)

    • Author: Dr. Arif Ansari
      • Edition: 2015
      • Publisher: Faazli Urdu Society,Burhanpur
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now