baal bhi banka kar nahin pae jhaDi jhakkaD rahon ke
baal bhī bāñkā kar nahīñ paa.e jhāḌī jhakkaḌ rāhoñ ke
apnā aap bachā laa.e ham mausam se afvāhoñ ke
pakkī saḌak par dhakke khā kar jhīloñ tak pahuñche ho tum
jal-pariyoñ ke sapne chhoḌo giit suno mallāhoñ ke
darshan kī haT kar to rahe ho us devī se dhyān rahe
ek jhalak meñ hosh fanā ho ga.e the kalīmullāhoñ ke
raaj kisī ne tyaag diyā hai aur kisī kā dhyān hai bhang
machhvāre kī beTī ne har liye dil rishiyoñ ke shāhoñ ke
us laḌkī ke paas kahāniyāñ cafe kī aur māloñ kī
aur hamāre saare qisse nukkaḌ ke chaurāhoñ ke
dil bastī meñ shaam huī hai tum bhī thoḌā dhyān dharo
peḌoñ ne to chauḌe kar diye ghere apnī bāhoñ ke
baal bhi banka kar nahin pae jhaDi jhakkaD rahon ke
apna aap bacha lae hum mausam se afwahon ke
pakki saDak par dhakke kha kar jhilon tak pahunche ho tum
jal-pariyon ke sapne chhoDo git suno mallahon ke
darshan ki haT kar to rahe ho us dewi se dhyan rahe
ek jhalak mein hosh fana ho gae the kalimullahon ke
raj kisi ne tyag diya hai aur kisi ka dhyan hai bhang
machhware ki beTi ne har liye dil rishiyon ke shahon ke
us laDki ke pas kahaniyan cafe ki aur malon ki
aur hamare sare qisse nukkaD ke chaurahon ke
dil basti mein sham hui hai tum bhi thoDa dhyan dharo
peDon ne to chauDe kar diye ghere apni bahon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.