banT lene ka irada kijiye
baañT lene kā irāda kījiye
ġham se thoḌā istifāda kījiye
sun ke dil kī baat rūTheñge nahīñ
pahle mujh se aap vā'da kījiye
aa.eñ āñkhoñ se pilā.ūñ aap ko
is taraf ye jām-o-bāda kījiye
ġham bhī milte haiñ mohabbat meñ huzūr
dāman-e-dil ko kushāda kījiye
sard-mehrī se nazar kyoñ pher lī
muskurāhaT ko labāda kījiye
chhoḌiye jo hai zamāne kā chalan
apnī būd-o-bāsh saada kījiye
nā-tavāñ kāñdhoñ pe mere hijr kā
is qadar mat bojh laadā kījiye
rāste par ḳhaar haiñ 'ambar' to kyā
aap chalne kā irāda kījiye
banT lene ka irada kijiye
gham se thoDa istifada kijiye
sun ke dil ki baat ruThenge nahin
pahle mujh se aap wa'da kijiye
aaen aankhon se pilaun aap ko
is taraf ye jam-o-baada kijiye
gham bhi milte hain mohabbat mein huzur
daman-e-dil ko kushada kijiye
sard-mehri se nazar kyon pher li
muskurahaT ko labaada kijiye
chhoDiye jo hai zamane ka chalan
apni bud-o-bash sada kijiye
na-tawan kandhon pe mere hijr ka
is qadar mat bojh lada kijiye
raste par KHar hain 'ambar' to kya
aap chalne ka irada kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.