Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDi baDi imaraton ko hairaton se dekhna

Fay Seen Ejaz

baDi baDi imaraton ko hairaton se dekhna

Fay Seen Ejaz

MORE BYFay Seen Ejaz

    baḌī baḌī imāratoñ ko hairatoñ se dekhnā

    phir us ke baa'd apne ghar ko āñsūoñ se dekhnā

    ḳharīd laao sab se mahñgī chūḌiyāñ jahān

    phir ek ḳhvāb rañg-birangī chūḌiyoñ se dekhnā

    kisī aartī suhāg ke liye utārnā

    phir apnī chitā ko surma.ī dhuon se dekhnā

    baḌā ajab gunāh hai baḌī ajiib baat hai

    ye ek dūsre ko bhīgī chāhatoñ se dekhnā

    ham ek puurī dāstāñ haiñ yaad kar ke dekhiye

    kabhī hameñ vafā ke TuuTe silsiloñ se dekhnā

    kahāñ-kahāñ jale charāġh le kar ham khaḌe rahe

    hamārī zinda dāstāñ ko khanDaroñ se dekhnā

    bahut qarīb ham ko apnī āhaToñ se pāoge

    nazar se duur ke ham ko rāstoñ se dekhnā

    zamīñ se āsmāñ talak na koī baat pāoge

    kabhī kabhī ġhazal ko us ke qāfiyoñ se dekhnā

    baDi baDi imaraton ko hairaton se dekhna

    phir us ke ba'd apne ghar ko aansuon se dekhna

    KHarid lao sab se mahngi chuDiyan jahan ki

    phir ek KHwab rang-birangi chuDiyon se dekhna

    kisi ki aarti suhag ke liye utarna

    phir apni hi chita ko surmai dhuon se dekhna

    baDa ajab gunah hai baDi ajib baat hai

    ye ek dusre ko bhigi chahaton se dekhna

    hum ek puri dastan hain yaad kar ke dekhiye

    kabhi hamein wafa ke TuTe silsilon se dekhna

    kahan-kahan jale charagh le kar hum khaDe rahe

    hamari zinda dastan ko khanDaron se dekhna

    bahut qarib hum ko apni aahaTon se paoge

    nazar se dur ja ke hum ko raston se dekhna

    zamin se aasman talak na koi baat paoge

    kabhi kabhi ghazal ko us ke qafiyon se dekhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now