aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDi farz-ashna hai saba kare KHub kaam hisab ka

Anjum Irfani

baDi farz-ashna hai saba kare KHub kaam hisab ka

Anjum Irfani

MORE BYAnjum Irfani

    baḌī farz-āshnā hai sabā kare ḳhuub kaam hisāb

    phir uḌā ke le ga.ī ik varaq mirī zindagī kitāb

    kahūñ kyā ki dasht-e-hayāt meñ rahā silsila vo sarāb

    kabhī hausla na kar sakī mirī aañkh dariyā ke ḳhvāb

    na atā-e-duḳhtar-e-raz hai ye na hai faiz-e-sāqī-e-mai-nafas

    jo chaḌhe to phir na utar sake ye nasha hai fan sharāb

    sar-e-rāh mil ke bichhaḌ ga.e thā bas ek pal vo hādsa

    mire sehn-e-dil meñ muqīm hai vahī ek lamha azaab

    mire saath saath safar meñ hai mire ghar saarī hamāhamī

    sar-e-gosh qahqahe ras-bhare sar-e-dosh phuul gulāb

    do farishta dast-e-balā liye do chhalakte jaam takā kiye

    mire ham-rikāb vo mauj-e-gul vahī sail-e-chashm-e-pur-āb

    maiñ agarche kar bhī chukā raqam idhar ek daftar-e-rañj-o-ġham

    magar intizār hai dam-ba-dam mujhe pahle ḳhat ke javāb

    ye jo mere sāġhar-e-dil meñ hai mai-e-fan hai ḳhuuñ kashīd hai

    yahī ek umr mā-hasal yahī tosha ḳhāna-ḳharāb

    zarā soch anjum-e-nā-tavāñ ye vafā zikr kahāñ kahāñ

    sar-e-bazm kar na ise bayāñ ye sabaq hai sirf nisāb

    baDi farz-ashna hai saba kare KHub kaam hisab ka

    phir uDa ke le gai ek waraq meri zindagi ki kitab ka

    kahun kya ki dasht-e-hayat mein raha silsila wo sarab ka

    kabhi hausla hi na kar saki meri aankh dariya ke KHwab ka

    na ata-e-duKHtar-e-raz hai ye na hai faiz-e-saqi-e-mai-nafas

    jo chaDhe to phir na utar sake ye nasha hai fan ki sharab ka

    sar-e-rah mil ke bichhaD gae tha bas ek pal ka wo hadsa

    mere sehn-e-dil mein muqim hai wahi ek lamha azab ka

    mere sath sath safar mein hai mere ghar ki sari hamahami

    sar-e-gosh qahqahe ras-bhare sar-e-dosh phul gulab ka

    do farishta dast-e-bala liye do chhalakte jam taka kiye

    mere ham-rikab wo mauj-e-gul wahi sail-e-chashm-e-pur-ab ka

    main agarche kar bhi chuka raqam idhar ek daftar-e-ranj-o-gham

    magar intizar hai dam-ba-dam mujhe pahle KHat ke jawab ka

    ye jo mere saghar-e-dil mein hai mai-e-fan hai KHun ki kashid hai

    yahi ek umr ka ma-hasal yahi tosha KHana-KHarab ka

    zara soch anjum-e-na-tawan ye wafa ka zikr kahan kahan

    sar-e-bazm kar na ise bayan ye sabaq hai sirf nisab ka

    Source:

    libaas-e-zakhm (Pg. 44)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now