Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badlegi kaenat meri baat man lo

Jameel Usman

badlegi kaenat meri baat man lo

Jameel Usman

MORE BYJameel Usman

    badlegī kā.enāt mirī baat maan lo

    mujh se milāo haat mirī baat maan lo

    ham se qadam milā ke chaloge to dekhnā

    sar hoñge shash-jahāt mirī baat maan lo

    bigḌī huī jo baat baḌī muddatoñ se hai

    ban jā.egī vo baat mirī baat maan lo

    hai zindagī baġhair tumhāre ik iztirāb

    de do ise sabāt mirī baat maan lo

    kis ne kahā hai tum se ki tā-umr saath do

    hai chaar din baat mirī baat maan lo

    piinā paḌe kahīñ na tumheñ bhī mirī tarah

    talḳhāba-e-hayāt mirī baat maan lo

    maiñ jāntā huuñ merī tarah chāhtī ho tum

    tanhā.ī se najāt mirī baat maan lo

    badlegi kaenat meri baat man lo

    mujh se milao hat meri baat man lo

    hum se qadam mila ke chaloge to dekhna

    sar honge shash-jahat meri baat man lo

    bigDi hui jo baat baDi muddaton se hai

    ban jaegi wo baat meri baat man lo

    hai zindagi baghair tumhaare ek iztirab

    de do ise sabaat meri baat man lo

    kis ne kaha hai tum se ki ta-umr sath do

    hai chaar din ki baat meri baat man lo

    pina paDe kahin na tumhein bhi meri tarah

    talKHaba-e-hayat meri baat man lo

    main jaanta hun meri tarah chahti ho tum

    tanhai se najat meri baat man lo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now