Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar aai hai mastana ghaTa kuchh aur kahti hai

Akhtar Shirani

bahaar aai hai mastana ghaTa kuchh aur kahti hai

Akhtar Shirani

MORE BYAkhtar Shirani

    bahār aa.ī hai mastāna ghaTā kuchh aur kahtī hai

    magar un shoḳh nazroñ hayā kuchh aur kahtī hai

    rihā.ī ḳhabar kis ne uḌaa.ī sehn-e-gulshan meñ

    asīrān-e-qafas se to sabā kuchh aur kahtī hai

    bahut ḳhush hai dil-e-nādāñ havā-e-kū-e-jānāñ meñ

    magar ham se zamāne havā kuchh aur kahtī hai

    mere dil sun āġhosh ban kar kah rahā hai kuchh

    tirī nīchī nazar to jaane kyā kuchh aur kahtī hai

    mirī jānib se kah denā sabā lahore vāloñ se

    ki is mausam meñ dehlī havā kuchh aur kahtī hai

    huī muddat ke mai-noshī se tauba kar chuke 'aḳhtar'

    magar dehlī mastāna fazā kuchh aur kahtī hai

    bahaar aai hai mastana ghaTa kuchh aur kahti hai

    magar un shoKH nazron ki haya kuchh aur kahti hai

    rihai ki KHabar kis ne uDai sehn-e-gulshan mein

    asiran-e-qafas se to saba kuchh aur kahti hai

    bahut KHush hai dil-e-nadan hawa-e-ku-e-jaanan mein

    magar hum se zamane ki hawa kuchh aur kahti hai

    tu mere dil ki sun aaghosh ban kar kah raha hai kuchh

    teri nichi nazar to jaane kya kuchh aur kahti hai

    meri jaanib se kah dena saba lahore walon se

    ki is mausam mein dehli ki hawa kuchh aur kahti hai

    hui muddat ke mai-noshi se tauba kar chuke 'aKHtar'

    magar dehli ki mastana faza kuchh aur kahti hai

    Source:

    Kulliyat-e-Akhtar Shirani (Pg. 260)

    • Author: Akhtar Shirani
      • Edition: 1997
      • Publisher: Modern Publishing House, Daryaganj New delhi
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now