bahne lage to palkon se laf kar diya gaya
bahne lage to palkoñ se laf kar diyā gayā
phir āñsuoñ ko durr-e-najaf kar diyā gayā
kuchh qahqahoñ kī guuñj falak tak sunā.ī dī
kuchh siskiyoñ ko tābe'-e-daf kar diyā gayā
jin uñgliyoñ ke zaḳhm abhī tak nahīñ bhare
tārīḳh se unhī ko hazaf kar diyā gayā
dasht-e-badan kī pyaas bujhānī thī is liye
ashkoñ ke ruḳh ko dil kī taraf kar diyā gayā
ġharqāb log jab na samundar pahuñch sake
tuġhyāniyoñ ko lāsh-ba-kaf kar diyā gayā
utrā javān aañkh meñ jaise hī motiyā
āñkhoñ kī putliyoñ ko sadaf kar diyā gayā
'be-dil' mahāz-e-jang se lauTe jo lashkarī
saarī safoñ ko ek hī saf kar diyā gayā
bahne lage to palkon se laf kar diya gaya
phir aansuon ko durr-e-najaf kar diya gaya
kuchh qahqahon ki gunj falak tak sunai di
kuchh siskiyon ko tabe'-e-daf kar diya gaya
jin ungliyon ke zaKHm abhi tak nahin bhare
tariKH se unhi ko hazaf kar diya gaya
dasht-e-badan ki pyas bujhani thi is liye
ashkon ke ruKH ko dil ki taraf kar diya gaya
gharqab log jab na samundar pahunch sake
tughyaniyon ko lash-ba-kaf kar diya gaya
utra jawan aankh mein jaise hi motiya
aankhon ki putliyon ko sadaf kar diya gaya
'be-dil' mahaz-e-jang se lauTe jo lashkari
sari safon ko ek hi saf kar diya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.