Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut rone se dil ka bojh halka ho gaya aaKHir

Iqbal Mateen

bahut rone se dil ka bojh halka ho gaya aaKHir

Iqbal Mateen

MORE BYIqbal Mateen

    Interesting Fact

    A ghazal dedicated to Mughanni Tabassum

    bahut rone se dil bojh halkā ho gayā āḳhir

    jo yādoñ ke jharokoñ ko bhī shāyad dho gayā āḳhir

    na mātam hai na sannāTā ajab sargoshiyāñ haiñ

    mirī chaukhaT pe sar rakh kar vo laḌkā so gayā āḳhir

    maiñ ḳhud ashkoñ ke dariyāoñ pahnā.ī hāsil thā

    magar vo ek qatra bār-e-hastī dho gayā āḳhir

    mujhe bhīgī huī āñkhoñ meñ rahne salīqa hai

    maiñ giile kāġhazoñ meñ lafz saare bo gayā āḳhir

    vo rasta jo tirī turbat se ho kar mujh talak aayā

    vo rasta vaqt pahnā.iyoñ meñ kho gayā āḳhir

    'matīn' iqbāl āñkheñ poñchh lo takiya chhupā rakkho

    vo dekho apne āñgan meñ saverā ho gayā āḳhir

    bahut rone se dil ka bojh halka ho gaya aaKHir

    jo yaadon ke jharokon ko bhi shayad dho gaya aaKHir

    na matam hai na sannaTa ajab sargoshiyan si hain

    meri chaukhaT pe sar rakh kar wo laDka so gaya aaKHir

    main KHud ashkon ke dariyaon ki pahnai ka hasil tha

    magar wo ek qatra bar-e-hasti dho gaya aaKHir

    mujhe bhigi hui aankhon mein rahne ka saliqa hai

    main gile kaghazon mein lafz sare bo gaya aaKHir

    wo rasta jo teri turbat se ho kar mujh talak aaya

    wo rasta waqt ki pahnaiyon mein kho gaya aaKHir

    'matin' iqbaal aankhen ponchh lo takiya chhupa rakkho

    wo dekho apne aangan mein sawera ho gaya aaKHir

    Source:

    Sareer-e-Jaan (Pg. 69)

    • Author: Iqbal Mateen
      • Publisher: Kul Hind Urdu Research Scholars Council
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now