aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baja hai hum zarurat se ziyaada chahte hain

Riaz Majeed

baja hai hum zarurat se ziyaada chahte hain

Riaz Majeed

MORE BYRiaz Majeed

    bajā hai ham zarūrat se ziyāda chāhte haiñ

    magar ye dekh sab kuchh be-irāda chāhte haiñ

    bahut dil-tañg haiñ gunjā.ish-e-maujūd se ham

    rah-e-imkāñ kushāda se kushāda chāhte haiñ

    purānī hai numū-āsār hai phir bhī ye miTTī

    badan se aur abhī kuchh istifāda chāhte haiñ

    savār aate nahīñ haiñ lauT kar jin ghāTiyoñ se

    safar is khūñT ik pā-pyāda chāhte haiñ

    bahut be-zār haiñ ashrāfiya rahbarī se

    koī insān koī ḳhāk-zāda chāhte haiñ

    koī iz.hār āmāda hai dil dhaḌkanoñ meñ

    ham us ke vāste ik lahan-e-sāda chāhte haiñ

    jo ho maqbūl us bārgāh-e-haq-adā meñ

    vo ik lamha 'riyāz' aadhe se aadhā chāhte haiñ

    baja hai hum zarurat se ziyaada chahte hain

    magar ye dekh sab kuchh be-irada chahte hain

    bahut dil-tang hain gunjaish-e-maujud se hum

    rah-e-imkan kushada se kushada chahte hain

    purani hai numu-asar hai phir bhi ye miTTi

    badan se aur abhi kuchh istifada chahte hain

    sawar aate nahin hain lauT kar jin ghaTiyon se

    safar is khunT ka ek pa-pyaada chahte hain

    bahut be-zar hain ashrafiya ki rahbari se

    koi insan koi KHak-zada chahte hain

    koi izhaar aamada hai dil ki dhaDkanon mein

    hum us ke waste ek lahan-e-sada chahte hain

    jo ho maqbul us ki bargah-e-haq-ada mein

    wo ek lamha 'riyaz' aadhe se aadha chahte hain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    baja hai hum zarurat se ziyaada chahte hain Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now