Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

band kamre mein hun aur koi daricha bhi nahin

Parvez Bazmi

band kamre mein hun aur koi daricha bhi nahin

Parvez Bazmi

MORE BYParvez Bazmi

    band kamre meñ huuñ aur koī darīchā bhī nahīñ

    kisī dastak laraztā huā jhoñkā bhī nahīñ

    tīrgī oḌh ke aa.ī hai ghaTā chādar

    aur fānūs koī aah jaltā bhī nahīñ

    kal mire saa.e meñ sustā.ī thī sadiyoñ thakan

    aaj vo peḌ huuñ jis par koī pattā bhī nahīñ

    dhuup ke dasht darpesh safar hai mujh ko

    saath dene ko magar koī parinda bhī nahīñ

    apnā ḳhuuñ raah meñ phailā.īñ lakīroñ tarah

    aane vaale na kahīñ naqsh-e-kaf-e-pā bhī nahīñ

    band kamre mein hun aur koi daricha bhi nahin

    kisi dastak ka larazta hua jhonka bhi nahin

    tirgi oDh ke aai hai ghaTa ki chadar

    aur fanus koi aah ka jalta bhi nahin

    kal mere sae mein sustai thi sadiyon ki thakan

    aaj wo peD hun jis par koi patta bhi nahin

    dhup ke dasht ka darpesh safar hai mujh ko

    sath dene ko magar koi parinda bhi nahin

    apna KHun rah mein phailain lakiron ki tarah

    aane wale na kahin naqsh-e-kaf-e-pa bhi nahin

    Source:

    Auraaq (Pg. 47)

    • Author: Vazeer Agha
      • Edition: Nov. Dec. 1974
      • Publisher: Office auraq. chouck Urdu Bazar, Lahore
      • Year of Publication: Nov. Dec. 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now