Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

band kar baiThe ho ghar radd-e-bala ki KHatir

Jaleel Haider Lashari

band kar baiThe ho ghar radd-e-bala ki KHatir

Jaleel Haider Lashari

MORE BYJaleel Haider Lashari

    band kar baiThe ho ghar radd-e-balā ḳhātir

    ek khiḌkī to khulī rakhte havā ḳhātir

    bheñT chaḌhte rahe har daur meñ insāñ kitne

    fard-e-vāhid faqat jhūTī anā ḳhātir

    har zabardast har zulm sahā hai maiñ ne

    zindagī mahz tirī hirs-e-baqā ḳhātir

    Dar jahannam na jannat havas hai mujh ko

    sar jhukāyā hai faqat terī razā ḳhātir

    maiñ siyah-baḳht jise maar ke apnoñ ne 'jalīl'

    ġhair ko dosh diyā ḳhūn-bahā ḳhātir

    band kar baiThe ho ghar radd-e-bala ki KHatir

    ek khiDki to khuli rakhte hawa ki KHatir

    bhenT chaDhte rahe har daur mein insan kitne

    fard-e-wahid ki faqat jhuTi ana ki KHatir

    har zabardast ka har zulm saha hai main ne

    zindagi mahz teri hirs-e-baqa ki KHatir

    Dar jahannam ka na jannat ki hawas hai mujh ko

    sar jhukaya hai faqat teri raza ki KHatir

    main siyah-baKHt jise mar ke apnon ne 'jalil'

    ghair ko dosh diya KHun-baha ki KHatir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now