Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

basa-auqat aa jate hain daman se gareban mein

Saail Dehlvi

basa-auqat aa jate hain daman se gareban mein

Saail Dehlvi

MORE BYSaail Dehlvi

    basā-auqāt aa jaate haiñ dāman se garebāñ meñ

    bahut dekhe haiñ aise josh ashk-e-chashm-e-giryāñ meñ

    nahīñ hai taab zabt-e-ġham kisī āshiq ke imkāñ meñ

    dil-e-ḳhūñ-gashta dāman meñ hogā garebāñ meñ

    mubārak bādiya-gardo bahār aa.ī bayābāñ meñ

    numūd-e-rañg-e-gul hai har sar-e-ḳhār-e-muġhīlāñ meñ

    ziyāda ḳhauf-e-rusvā.ī nahīñ hai soz-e-pinhāñ meñ

    dhuāñ hotā hai lekin kam charāġh-e-zer-e-dāmāñ meñ

    hamesha ke mai jaam o surāhī toḌ detā huuñ

    na merā dil tarastā hai na farq aatā hai īmāñ meñ

    maza kyuuñ kāvish-e-zaḳhm-e-jigar aaj kam kam hai

    namak koī chuTkī rah ga.ī hogī namak-dāñ meñ

    janāb-e-qais ne dil se bhulāyā donoñ aalam ko

    junūñ ke chaar harfoñ sabaq lekar dabistāñ meñ

    bahār aa.ī milā ye hukm mujh ko aur bulbul ko

    ki vo kaaTe qafas meñ ḳhaak chhānūñ maiñ bayābāñ meñ

    tarannum-reziyāñ bazm-e-suḳhan meñ sun ke 'sā.el'

    gumāñ hotā hai bulbul ke chahakne gulistāñ meñ

    basa-auqat aa jate hain daman se gareban mein

    bahut dekhe hain aise josh ashk-e-chashm-e-giryan mein

    nahin hai tab zabt-e-gham kisi aashiq ke imkan mein

    dil-e-KHun-gashta ya daman mein hoga ya gareban mein

    mubarak baadiya-gardo bahaar aai bayaban mein

    numud-e-rang-e-gul hai har sar-e-KHar-e-mughilan mein

    ziyaada KHauf-e-ruswai nahin hai soz-e-pinhan mein

    dhuan hota hai lekin kam charagh-e-zer-e-daman mein

    hamesha pi ke mai jam o surahi toD deta hun

    na mera dil tarasta hai na farq aata hai iman mein

    maza kyun kawish-e-zaKHm-e-jigar ka aaj kam kam hai

    namak ki koi chuTki rah gai hogi namak-dan mein

    janab-e-qais ne dil se bhulaya donon aalam ko

    junun ke chaar harfon ka sabaq lekar dabistan mein

    bahaar aai mila ye hukm mujh ko aur bulbul ko

    ki wo kaTe qafas mein KHak chhanun main bayaban mein

    tarannum-reziyan bazm-e-suKHan mein sun ke 'sael' ki

    guman hota hai bulbul ke chahakne ka gulistan mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now