Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bata roz-marra ki zindagi tu ne ye wafa ka sila diya

Chhabi Saksena Sahai Saba

bata roz-marra ki zindagi tu ne ye wafa ka sila diya

Chhabi Saksena Sahai Saba

MORE BYChhabi Saksena Sahai Saba

    batā roz-marra zindagī ne ye vafā sila diyā

    mire saath jo bhī rifāqateñ thiiñ sabhī se parda haTā diyā

    mujhe chheḌte haiñ vo bārhā jo kabhī baḌhāte the hausla

    to maiñ kyā karūñ mujhe manziloñ ne rāste se haTā diyā

    mire ham-navā mujhe aap se haiñ shikāyateñ bhī bahut ab

    ki navāzishoñ ke uruuj pe kyoñ chaḌhā chaḌhā ke girā diyā

    mujhe maat dete haiñ mustaqil mirī justujū ke ye qāfile

    kabhī ruḳh havā jo saath thā usī moḌ pe jhukā diyā

    mirī zindagī bhī tumhī se hai go karam bhī terā hai muḳhtasar

    mere ġham dhuñd ko pyaar ne sahbā jo thā pilā diyā

    'sabā' aaj bhī ye yaqīn hai jo baqā duā panāh meñ

    mere rab ne juuñ mire āsmāñ ko zamīn par jo bichhā diyā

    bata roz-marra ki zindagi tu ne ye wafa ka sila diya

    mere sath jo bhi rifaqaten thin sabhi se parda haTa diya

    mujhe chheDte hain wo barha jo kabhi baDhate the hausla

    to main kya karun mujhe manzilon ne hi raste se haTa diya

    mere ham-nawa mujhe aap se hain shikayaten bhi bahut si ab

    ki nawazishon ke uruj pe kyon chaDha chaDha ke gira diya

    mujhe mat dete hain mustaqil meri justuju ke ye qafile

    kabhi ruKH hawa ka jo sath tha usi moD pe hi jhuka diya

    meri zindagi bhi tumhi se hai go karam bhi tera hai muKHtasar

    mere gham ki dhund ko pyar ka tu ne sahba jo tha pila diya

    'saba' aaj bhi ye yaqin hai jo baqa dua ki panah mein

    mere rab ne jun mere aasman ko zamin par jo bichha diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now