Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhaDke hai dil ki aatish tujh neh ki hawa sun

Wali Mohammad Wali

bhaDke hai dil ki aatish tujh neh ki hawa sun

Wali Mohammad Wali

MORE BYWali Mohammad Wali

    bhaḌke hai dil ātish tujh neh havā suuñ

    sho.ala namat jalā dil tujh husn-e-sho.ala-zā suuñ

    gul ke charāġh gul ho yak baar jhaḌ paḌeñ sab

    mujh aah hikāyat boleñ agar sabā suuñ

    niklī hai jast kar kar har sañg-dil suuñ ātish

    chaqmāq jab palak jhāḌā hai tuuñ adā suuñ

    sajda badal rakhe sar sar-tā-qadam araq ho

    tujh bā-hayā ke pag par aa kar hinā hayā suuñ

    yaañ dard hai param behūda sar kahe mat

    ye baat sun 'valī' kar kaho davā suuñ

    bhaDke hai dil ki aatish tujh neh ki hawa sun

    shoala namat jala dil tujh husn-e-shoala-za sun

    gul ke charagh gul ho yak bar jhaD paDen sab

    mujh aah ki hikayat bolen agar saba sun

    nikli hai jast kar kar har sang-dil sun aatish

    chaqmaq jab palak ki jhaDa hai tun ada sun

    sajda badal rakhe sar sar-ta-qadam araq ho

    tujh ba-haya ke pag par aa kar hina haya sun

    yan dard hai param ka behuda sar kahe mat

    ye baat sun 'wali' ki ja kar kaho dawa sun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now