Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhul kar bhi na phir milega tu

Adil Mansuri

bhul kar bhi na phir milega tu

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    bhuul kar bhī na phir milegā

    jāntā huuñ yahī karegā

    dekh aage muhīb khaa.ī hai

    lauT aa varna gir paḌegā

    dil taḳhtī pe naam hai terā

    yaañ nahīñ to kahāñ rahegā

    mere āñgan meñ ek paudā hai

    phuul ban ke mahak uThegā

    rāste meñ ka.ī dukāneñ haiñ

    har dukāñ par dikhā.ī degā

    maiñ ne āñkhoñ se jeb bhar hai

    dekhtā huuñ kahāñ chhupegā

    ḳhush rakheñgī ye dūriyāñ tujh ko

    kyā yuuñ muskurā sakegā

    bhul kar bhi na phir milega tu

    jaanta hun yahi karega tu

    dekh aage muhib khai hai

    lauT aa warna gir paDega tu

    dil ki taKHti pe nam hai tera

    yan nahin to kahan rahega tu

    mere aangan mein ek pauda hai

    phul ban ke mahak uThega tu

    raste mein kai dukanen hain

    har dukan par dikhai dega tu

    main ne aankhon se jeb bhar li hai

    dekhta hun kahan chhupega tu

    KHush rakhengi ye duriyan tujh ko

    kya yun hi muskura sakega tu

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 446)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now