Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bin tere kya karun jahan le kar

Jaleel Manikpuri

bin tere kya karun jahan le kar

Jaleel Manikpuri

MORE BYJaleel Manikpuri

    bin tire kyā karūñ jahāñ le kar

    ye zamīñ aur ye āsmāñ le kar

    ashk chhalkā.e baal bikhrā.e

    vo ga.e merī dāstāñ le kar

    do jahāñ talab se fāriġh huuñ

    terā dar terā āstāñ le kar

    uḌ ga.e sab chaman ko rah ga.e ham

    chaar tinkoñ āshiyāñ le kar

    rañg-e-mahfil tirā baḌhāne ko

    aa.e ham chashm-e-ḳhūñ-fishāñ le kar

    sab ga.e pūchhne mizāj un

    maiñ gayā apnī dāstāñ le kar

    sab phire le ke apne yūsuf ko

    maiñ phirā gard-e-kārvāñ le kar

    sab uḌe le ke phuul gulshan se

    aur ham apnā āshiyāñ le kar

    merī taqdīr kyā batā.ūñ 'jalīl'

    rahī hai kahāñ kahāñ le kar

    bin tere kya karun jahan le kar

    ye zamin aur ye aasman le kar

    ashk chhalkae baal bikhrae

    wo gae meri dastan le kar

    do jahan ki talab se farigh hun

    tera dar tera aastan le kar

    uD gae sab chaman ko rah gae hum

    chaar tinkon ka aashiyan le kar

    rang-e-mahfil tera baDhane ko

    aae hum chashm-e-KHun-fishan le kar

    sab gae puchhne mizaj un ka

    main gaya apni dastan le kar

    sab phire le ke apne yusuf ko

    main phira gard-e-karwan le kar

    sab uDe le ke phul gulshan se

    aur hum apna aashiyan le kar

    meri taqdir kya bataun 'jalil'

    ja rahi hai kahan kahan le kar

    Source:

    Kainat-e-Jalil Manakpuri (Pg. 307)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now