Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bistar bichha ke raat wo kamre mein so gaya

Sadiq

bistar bichha ke raat wo kamre mein so gaya

Sadiq

MORE BYSadiq

    bistar bichhā ke raat vo kamre meñ so gayā

    sabze pe mausamoñ lahū ḳhushk ho gayā

    gum-nām din pichhlī qatāroñ fāsla

    āvāz hadoñ se bahut duur ho gayā

    baa.eñ taraf ke rāste sāñsoñ meñ baT ga.e

    agle qadam chaap pe vo ḳhuun ro gayā

    sūraj zulm sar ko jhulastā rahā magar

    din dhuup ke athāh samundar ko Dho gayā

    saḌkoñ bhiiḌ khā ga.ī pahchān fard

    sochoñ shor shakl raunaq ko ro gayā

    har ghar ke rāste meñ nadī aa khaḌī huī

    har rāsta na jaane kahāñ ke kho gayā

    in pāniyoñ ke bhed koī jāntā nahīñ

    vāpas kabhī na lauT sakā in meñ jo gayā

    bistar bichha ke raat wo kamre mein so gaya

    sabze pe mausamon ka lahu KHushk ho gaya

    gum-nam din ki pichhli qataron ka fasla

    aawaz ki hadon se bahut dur ho gaya

    baen taraf ke raste sanson mein baT gae

    agle qadam ki chap pe wo KHun ro gaya

    suraj ka zulm sar ko jhulasta raha magar

    din dhup ke athah samundar ko Dho gaya

    saDkon ki bhiD kha gai pahchan fard ki

    sochon ka shor shakl ki raunaq ko ro gaya

    har ghar ke raste mein nadi aa khaDi hui

    har rasta na jaane kahan ja ke kho gaya

    in paniyon ke bhed koi jaanta nahin

    wapas kabhi na lauT saka in mein jo gaya

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-053) (Pg. ebook-54 page-52)

      • Edition: 1970
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now