Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bujhti shama ki surat kyun afsurda khaDe ho khiDki mein

Rafique Khayal

bujhti shama ki surat kyun afsurda khaDe ho khiDki mein

Rafique Khayal

MORE BYRafique Khayal

    bujhtī sham.a sūrat kyuuñ afsurda khaḌe ho khiḌkī meñ

    dekho shaam hai kis darja dilkash is dhuup vardī meñ

    vahm-o-gumāñ ke sahrāoñ meñ phuul khile tirī yādoñ ke

    aur charāġhāñ duur tilak hai sāñsoñ is vaadī meñ

    qahr-o-ġhazab ke mimbar par hāthoñ meñ liye kashkol-e-vafā

    jhāñk rahā thā sūraj bhī kal ġhaur se ek surāhī meñ

    duur khaḌā ho kar maiñ is liye pahroñ dekhtā rahtā huuñ

    qaid bahut yādeñ haiñ mirī is vīrān havelī meñ

    tahoñ pyaas bhī sat.h par ab saaf dikhā.ī detī hai

    DhūñD rahe haiñ jaane kyā ye bādal niilī chhatrī meñ

    ek hai andesha mujh ko kahīñ mere mar jaane ke ba.ad

    bech na deñ mere ghar vaale mirī qīmtī ġhazleñ raddī meñ

    rañg aur ḳhushbū mānind hai merā sarāpā bhī sāhib

    qaid rakhegā āḳhir kab tak vaqt mujhe yuuñ muTThī meñ

    bahr-e-mohabbat ke sāhil sair bahut kar ham ne

    aao zarā ab ham bhī dekheñ baiTh ke pyaar kashtī meñ

    hirs-o-havas ke saare pujārī ek jagah haiñ aaj jama.a

    vaqt shāḳh pe shāyad koī phuul khilā hai jaldī meñ

    bujhti shama ki surat kyun afsurda khaDe ho khiDki mein

    dekho sham hai kis darja dilkash is dhup ki wardi mein

    wahm-o-guman ke sahraon mein phul khile teri yaadon ke

    aur charaghan dur tilak hai sanson ki is wadi mein

    qahr-o-ghazab ke mimbar par hathon mein liye kashkol-e-wafa

    jhank raha tha suraj bhi kal ghaur se ek surahi mein

    dur khaDa ho kar main is liye pahron dekhta rahta hun

    qaid bahut si yaaden hain meri is viran haweli mein

    tahon ki pyas bhi sath par ab saf dikhai deti hai

    DhunD rahe hain jaane kya ye baadal nili chhatri mein

    ek hai andesha mujh ko kahin mere mar jaane ke baad

    bech na den mere ghar wale meri qimti ghazlen raddi mein

    rang aur KHushbu ki manind hai mera sarapa bhi sahib

    qaid rakhega aaKHir kab tak waqt mujhe yun muTThi mein

    bahr-e-mohabbat ke sahil ki sair bahut kar li hum ne

    aao zara ab hum bhi dekhen baiTh ke pyar ki kashti mein

    hirs-o-hawas ke sare pujari ek jagah hain aaj jama

    waqt ki shaKH pe shayad koi phul khila hai jaldi mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now