aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bulandiyon ke dhundalke mein tha KHuda sa laga

Abdullah Kamal

bulandiyon ke dhundalke mein tha KHuda sa laga

Abdullah Kamal

MORE BYAbdullah Kamal

    Interesting Fact

    1973

    bulandiyoñ ke dhundalke meñ thā ḳhudā lagā

    jo maiñ qarīb se guzrā to vo shanāsā lagā

    na koī jism thā us na koī chehra magar

    jihat jihat se ubhartī huī sadā lagā

    aqab meñ chhoḌtā aayā shikastagī ġhubār

    ki sañg-e-mīl bhī mujh ko ik aa.ina lagā

    bahut nasheb-o-farāz us ke tai kiye maiñ ne

    vo sar se paañv talak ek rāstā lagā

    yahī kahā thā ki tum sab badalte chehre ho

    har ek shaḳhs mujhe phir ḳhafā ḳhafā lagā

    sadā-e-āmad-o-shud bā.is-e-safar thī 'kamāl'

    nafas nafas mujhe apne lahū pyāsā lagā

    bulandiyon ke dhundalke mein tha KHuda sa laga

    jo main qarib se guzra to wo shanasa laga

    na koi jism tha us ka na koi chehra magar

    jihat jihat se ubharti hui sada sa laga

    aqab mein chhoDta aaya shikastagi ka ghubar

    ki sang-e-mil bhi mujh ko ek aaina sa laga

    bahut nasheb-o-faraaz us ke tai kiye main ne

    wo sar se panw talak ek rasta sa laga

    yahi kaha tha ki tum sab badalte chehre ho

    har ek shaKHs mujhe phir KHafa KHafa sa laga

    sada-e-amad-o-shud bais-e-safar thi 'kamal'

    nafas nafas mujhe apne lahu ka pyasa laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now