Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bulbul ka dil KHizan ke sadme se hil raha hai

Agha Hajju Sharaf

bulbul ka dil KHizan ke sadme se hil raha hai

Agha Hajju Sharaf

MORE BYAgha Hajju Sharaf

    bulbul dil ḳhizāñ ke sadme se hil rahā hai

    gulzār muraqqa.a miTTī meñ mil rahā hai

    aalam meñ jis ne jis ne dekhā hai aalam un

    koī to ham se kah de qaabū meñ dil rahā hai

    ruḳhsat bahār hai kohrām hai chaman meñ

    ġhunche se ġhuncha bulbul bulbul se mil rahā hai

    hargiz shabāb par tum nāzāñ 'sharaf' na honā

    milne ko ḳhaak meñ hai jo phuul khil rahā hai

    bulbul ka dil KHizan ke sadme se hil raha hai

    gulzar ka muraqqa miTTi mein mil raha hai

    aalam mein jis ne jis ne dekha hai aalam un ka

    koi to hum se kah de qabu mein dil raha hai

    ruKHsat bahaar ki hai kohram hai chaman mein

    ghunche se ghuncha bulbul bulbul se mil raha hai

    hargiz shabab par tum nazan 'sharaf' na hona

    milne ko KHak mein hai jo phul khil raha hai

    Source:

    Deewan-e-Sharf(Rekhta Website) (Pg. 225)

    • Author: Agha Hajju Sharaf
      • Publisher: Matba Jafari, Luckhnow
      • Year of Publication: 1875
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now