Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

burrish-e-tegh bhi hai phul ki mahkar bhi hai

Akhtar Ziai

burrish-e-tegh bhi hai phul ki mahkar bhi hai

Akhtar Ziai

MORE BYAkhtar Ziai

    burrish-e-teġh bhī hai phuul mahkār bhī hai

    vo ḳhamoshī ki jo sad maujib-e-iz.hār bhī hai

    chhoḌiye un ke shab-o-roz rūdād-e-zubūñ

    aap ko ḳhāk-nashīnoñ se sarokār bhī hai

    maslahat mujh ko bhī malhūz hai ai ham-suḳhano

    par mire pesh-e-nazar vaqt raftār bhī hai

    maut ke ḳhauf se har saañs rukī jaatī hai

    zindagī aaj koī terā ḳharīdār bhī hai

    talḳhī-e-hāl ko hai ishrat-e-fardā fareb

    dil junūñ-kosh hai aur 'aql tarahdār bhī hai

    mere mahbūb mujhe vaqf-e-taġhāful na samajh

    ziist ke laakh taqāze haiñ terā pyaar bhī hai

    ahl-e-guftār to bhiiḌ lagī hai 'aḳhtar'

    dekhnā in meñ koī sāhab-e-kirdār bhī hai

    burrish-e-tegh bhi hai phul ki mahkar bhi hai

    wo KHamoshi ki jo sad maujib-e-izhaar bhi hai

    chhoDiye un ke shab-o-roz ki rudad-e-zubun

    aap ko KHak-nashinon se sarokar bhi hai

    maslahat mujh ko bhi malhuz hai ai ham-suKHano

    par mere pesh-e-nazar waqt ki raftar bhi hai

    maut ke KHauf se har sans ruki jati hai

    zindagi aaj koi tera KHaridar bhi hai

    talKHi-e-haal ko hai ishrat-e-farda ka fareb

    dil junun-kosh hai aur 'aql tarahdar bhi hai

    mere mahbub mujhe waqf-e-taghaful na samajh

    zist ke lakh taqaze hain tera pyar bhi hai

    ahl-e-guftar ki to bhiD lagi hai 'aKHtar'

    dekhna in mein koi sahab-e-kirdar bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now