aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

buton ki agar KHud-numai na dekhun

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

buton ki agar KHud-numai na dekhun

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    butoñ agar ḳhud-numā.ī na dekhūñ

    in āñkhoñ se yārab ḳhudā.ī na dekhūñ

    mohabbat se kahtā huuñ rakkhūñ āñkheñ

    palak se palak judā.ī na dekhūñ

    bhalā maiñ burā jāntā huuñ jo tum ko

    burā.ī hai apnī bhalā.ī na dekhūñ

    mirā aks tak saaf mujh se nahīñ hai

    maiñ hairāñ huuñ kis muñh se ā.īna dekhūñ

    'nasīm' us chaman ke jo kāñToñ se uljhūñ

    maiñ us gul rañgīñ-adā.ī na dekhūñ

    buton ki agar KHud-numai na dekhun

    in aankhon se yarab KHudai na dekhun

    mohabbat se kahta hun si rakkhun aankhen

    palak se palak ki judai na dekhun

    bhala main bura jaanta hun jo tum ko

    burai hai apni bhalai na dekhun

    mera aks tak saf mujh se nahin hai

    main hairan hun kis munh se aaina dekhun

    'nasim' us chaman ke jo kanTon se uljhun

    main us gul ki rangin-adai na dekhun

    Source:

    Deewan-e-Naseem (Pg. 21)

    • Author: Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
      • Publisher: Matba Gulshan-e-Faiz, Lucknow
      • Year of Publication: 1895
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now