aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand bangla so gaya suraj haweli jag uThi

Athar Nasik

chand bangla so gaya suraj haweli jag uThi

Athar Nasik

MORE BYAthar Nasik

    chāñd bañgla so gayā sūraj havelī jaag uThī

    raat raanī ko niiñd aa.ī chamelī jaag uThī

    us bhikāran ke badan meñ so rahā thā āftāb

    barf ḳhairāt se jis hathelī jaag uThī

    ik vafā-dushman ko ashkoñ meñ sulāne ke liye

    so gayā jab shahr saarā vo akelī jaag uThī

    chāñdnī ko dhuup kitnā shadīd ehsās hai

    ik sahelī so ga.ī to ik sahelī jaag uThī

    do parindoñ ko jo dekhā kal bujhārat Dālte

    zehn meñ barsoñ ḳhvābīda pahelī jaag uThī

    ek ik lamha nichhāvar hai usī ta.abīr par

    der tak jo ḳhvāb bāhoñ meñ khelī jaag uThī

    aaj phir āñkhoñ meñ tanhā.ī gahrā aks hai

    aaj phir dil meñ koī ḳhvāhish akelī jaag uThī

    chand bangla so gaya suraj haweli jag uThi

    raat ki rani ko nind aai chameli jag uThi

    us bhikaran ke badan mein so raha tha aaftab

    barf ki KHairaat se jis ki hatheli jag uThi

    ek wafa-dushman ko ashkon mein sulane ke liye

    so gaya jab shahr sara wo akeli jag uThi

    chandni ko dhup ka kitna shadid ehsas hai

    ek saheli so gai to ek saheli jag uThi

    do parindon ko jo dekha kal bujhaarat Dalte

    zehn mein barson ki KHwabida paheli jag uThi

    ek ek lamha nichhawar hai usi tabir par

    der tak jo KHwab ki bahon mein kheli jag uThi

    aaj phir aankhon mein tanhai ka gahra aks hai

    aaj phir dil mein koi KHwahish akeli jag uThi

    Source:

    Muntakhab Ghazlein-1982 (Pg. 27)

      • Publisher: Zahid Malik
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now