aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaarasazi ka talabgar lage hai wo bhi

R P Shokh

chaarasazi ka talabgar lage hai wo bhi

R P Shokh

MORE BYR P Shokh

    chārasāzī talabgār lage hai vo bhī

    ik masīhā hai so bīmār lage hai vo bhī

    jis ḳhātir zamāne adāvat ham ne

    ab zamāne taraf-dār lage hai vo bhī

    ab rag-o-jāñ ko bachā.ūñ to bachā.ūñ kaise

    saañs chaltī hai to talvār lage hai vo bhī

    kis tarah manzileñ tai hoñgī badan ai dil

    us se miltā huuñ to dīvār lage hai vo bhī

    be-muġhīlāñ sahī tapte hue sahrā safar

    paañv rakhtā huuñ magar ḳhaar lage hai vo bhī

    chaarasazi ka talabgar lage hai wo bhi

    ek masiha hai so bimar lage hai wo bhi

    jis ki KHatir li zamane ki adawat hum ne

    ab zamane ka taraf-dar lage hai wo bhi

    ab rag-o-jaan ko bachaun to bachaun kaise

    sans chalti hai to talwar lage hai wo bhi

    kis tarah manzilen tai hongi badan ki ai dil

    us se milta hun to diwar lage hai wo bhi

    be-mughilan sahi tapte hue sahra ka safar

    panw rakhta hun magar KHar lage hai wo bhi

    Source:

    Ghamza Ba Ghamza (Pg. 67)

    • Author: Aarpi Shaukh
      • Publisher: Liberty Art Press, Delhi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now