Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chala hun apni manzil ki taraf to shadman ho kar

Figar Unnavi

chala hun apni manzil ki taraf to shadman ho kar

Figar Unnavi

MORE BYFigar Unnavi

    chalā huuñ apnī manzil taraf to shādmāñ ho kar

    kahīñ māyūsī-e-dil ho na rahzan pāsbāñ ho kar

    hamārī dāstāñ ho kar tumhārī dāstāñ ho kar

    kahāñ pahuñchī mohabbat kārvāñ-dar-kārvāñ ho kar

    mire zauq-e-ubūdiyyat takmīl ai ma.āz-allāh

    jabīñ in.ām-e-sajda de rahī hai āstāñ ho kar

    ḳhud apne soz se jalnā to har ik sham' ko aayā

    vo parvāna jo ḳhākistar hai soz-e-dīgarāñ ho kar

    kalī muskurānā kah rahā hai dāstāñ un

    ḳhizāñ jab aa.ī ham-rāh-e-bahār-e-gulsitāñ ho kar

    hameñ ujḌe nasheman jab apne yaad aatī hai

    qafas tīliyāñ jaltī haiñ shāḳh-e-āshiyāñ ho kar

    'figār' āh-o-fuġhāñ se kam na thī 'azmat mire ġham

    magar kuchh aur rutba baḌh gayā soz-e-nihāñ ho kar

    chala hun apni manzil ki taraf to shadman ho kar

    kahin mayusi-e-dil ho na rahzan pasban ho kar

    hamari dastan ho kar tumhaari dastan ho kar

    kahan pahunchi mohabbat karwan-dar-karwan ho kar

    mere zauq-e-ubudiyyat ki takmil ai maaz-allah

    jabin inam-e-sajda de rahi hai aastan ho kar

    KHud apne soz se jalna to har ek sham' ko aaya

    wo parwana jo KHakistar hai soz-e-digaran ho kar

    kali ka muskurana kah raha hai dastan un ki

    KHizan jab aai ham-rah-e-bahaar-e-gulsitan ho kar

    hamein ujDe nasheman ki jab apne yaad aati hai

    qafas ki tiliyan jalti hain shaKH-e-ashiyan ho kar

    'figar' aah-o-fughan se kam na thi 'azmat mere gham ki

    magar kuchh aur rutba baDh gaya soz-e-nihan ho kar

    Source:

    Harf-o-nava (Pg. 66)

    • Author: umesh bahadur sirivasto figaar unnavi
      • Edition: 2001
      • Publisher: Figaar Unnavi
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now