chalte mein qayam chal raha hai
chalte meñ qayām chal rahā hai
sab dāna-o-dām chal rahā hai
darvāze baḌhā diye ga.e haiñ
dīvār se kaam chal rahā hai
ik 'ishq chalā rahā hai dil ko
aur dil kā nizām chal rahā hai
ham tum haiñ jo chal rahe haiñ tah meñ
dariyā kā to naam chal rahā hai
tanhā.ī hai sarbarāh aisī
vīrāna tamām chal rahā hai
is baaġh meñ ḳhāmushī bahut hai
phūloñ se kalām chal rahā hai
chalte mein qayam chal raha hai
sab dana-o-dam chal raha hai
darwaze baDha diye gae hain
diwar se kaam chal raha hai
ek 'ishq chala raha hai dil ko
aur dil ka nizam chal raha hai
hum tum hain jo chal rahe hain tah mein
dariya ka to nam chal raha hai
tanhai hai sarbarah aisi
virana tamam chal raha hai
is bagh mein KHamushi bahut hai
phulon se kalam chal raha hai
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 42)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.