aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman ko aag lagane ki baat karta hun

Shaad Aarfi

chaman ko aag lagane ki baat karta hun

Shaad Aarfi

MORE BYShaad Aarfi

    chaman ko aag lagāne baat kartā huuñ

    samajh sako to Thikāne baat kartā huuñ

    sharāb-e-talḳh pilāne baat kartā huuñ

    ḳhud-āgahī ko jagāne baat kartā huuñ

    suḳhanvaroñ ko jalāne baat kartā huuñ

    ki jāgtoñ ko jagāne baat kartā huuñ

    uThī huī hai jo rañgīnī-e-taġhazzul par

    vo har naqāb girāne baat kartā huuñ

    is anjuman se uThūñgā kharī kharī kah kar

    phir anjuman meñ na aane baat kartā huuñ

    yahāñ charāġh tale luuT hai añdherā hai

    kahāñ charāġh jalāne baat kartā huuñ

    vo bāġhbān! jo phūloñ se bair rakhtā hai

    ye aap ke zamāne baat kartā huuñ

    ravish ravish pe bichhā do babūl ke kāñTe

    chaman se lutf uThāne baat kartā huuñ

    vahāñ sharāb pilātā huuñ ahl-e-bīnash ko

    jahāñ bhī ḳhuun bahāne baat kartā huuñ

    mizāj-e-husn kahīñ bad-maza na ho jaa.e

    adal badal ke fasāne baat kartā huuñ

    magar fareb-dahī meñ darkār hai achhūtā-pan

    tire fareb meñ aane baat kartā huuñ

    vahīñ se sher meñ barjastagī nahīñ rahtī

    jahāñ se haal chhupāne baat kartā huuñ

    pilā rahā huuñ maiñ kāñToñ ko ḳhūn-e-dil ai 'shād'

    guloñ ke rañg uḌāne baat kartā huuñ

    chaman ko aag lagane ki baat karta hun

    samajh sako to Thikane ki baat karta hun

    sharab-e-talKH pilane ki baat karta hun

    KHud-agahi ko jagane ki baat karta hun

    suKHanwaron ko jalane ki baat karta hun

    ki jagton ko jagane ki baat karta hun

    uThi hui hai jo rangini-e-taghazzul par

    wo har naqab girane ki baat karta hun

    is anjuman se uThunga khari khari kah kar

    phir anjuman mein na aane ki baat karta hun

    yahan charagh tale luT hai andhera hai

    kahan charagh jalane ki baat karta hun

    wo baghban! jo phulon se bair rakhta hai

    ye aap hi ke zamane ki baat karta hun

    rawish rawish pe bichha do babul ke kanTe

    chaman se lutf uThane ki baat karta hun

    wahan sharab pilata hun ahl-e-binash ko

    jahan bhi KHun bahane ki baat karta hun

    mizaj-e-husn kahin bad-maza na ho jae

    adal badal ke fasane ki baat karta hun

    magar fareb-dahi mein darkar hai achhuta-pan

    tere fareb mein aane ki baat karta hun

    wahin se sher mein barjastagi nahin rahti

    jahan se haal chhupane ki baat karta hun

    pila raha hun main kanTon ko KHun-e-dil ai 'shad'

    gulon ke rang uDane ki baat karta hun

    Source:

    Kulliyat-e-Shad Aarfi (Pg. 76)

    • Author: Muzaffar Hanfi
      • Edition: 1975
      • Publisher: National AZcademy Delhi
      • Year of Publication: 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now