aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman mein subh ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam

Khwaja Meer Dard

chaman mein subh ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    chaman meñ sub.h ye kahtī thī ho kar chashm-e-tar shabnam

    bahār-e-bāġh go yuuñ rahī lekin kidhar shabnam

    araq buuñd us zulf se ruḳhsār par Tapkī

    ta.ajjub hai jāgah ye paḌī ḳhurshīd par shabnam

    hameñ to baaġh tujh bin ḳhāna-e-mātam nazar aayā

    idhar gul phāḌte the jaib rotī thī udhar shabnam

    kare hai kuchh se kuchh tāsīr-e-sohbat saaf tabaoñ

    huī ātish se gul baiThte rashk-e-sharar shabnam

    bhalā Tuk sub.h hone do ise bhī dekh leveñge

    kisī āshiq ke rone se nahīñ rakhtī ḳhabar shabnam

    nahīñ asbāb kuchh lāzim subuksāroñ ke uThne ko

    ga.ī uḌ dekhte apne baġhair-az-bāl-o-par shabnam

    na paayā jo gayā is baaġh se hargiz surāġh us

    na palTī phir sabā īdhar na phir aa.ī nazar shabnam

    na samjhā 'dard' ham ne bhed yaañ shādī o ġham

    sahar ḳhandāñ hai kyuuñ rotī hai kis ko yaad kar shabnam

    chaman mein subh ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam

    bahaar-e-bagh go yun hi rahi lekin kidhar shabnam

    araq ki bund us ki zulf se ruKHsar par Tapki

    tajjub ki hai jagah ye paDi KHurshid par shabnam

    hamein to bagh tujh bin KHana-e-matam nazar aaya

    idhar gul phaDte the jaib roti thi udhar shabnam

    kare hai kuchh se kuchh tasir-e-sohbat saf tabaon ki

    hui aatish se gul ki baiThte rashk-e-sharar shabnam

    bhala Tuk subh hone do ise bhi dekh lewenge

    kisi aashiq ke rone se nahin rakhti KHabar shabnam

    nahin asbab kuchh lazim subuksaron ke uThne ko

    gai uD dekhte apne baghair-az-baal-o-par shabnam

    na paya jo gaya is bagh se hargiz suragh us ka

    na palTi phir saba idhar na phir aai nazar shabnam

    na samjha 'dard' hum ne bhed yan ki shadi o gham ka

    sahar KHandan hai kyun roti hai kis ko yaad kar shabnam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now