Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chamka hai yun nasib ka tara kabhi kabhi

Manzar Lakhnavi

chamka hai yun nasib ka tara kabhi kabhi

Manzar Lakhnavi

MORE BYManzar Lakhnavi

    chamkā hai yuuñ nasīb taarā kabhī kabhī

    ham ko to ḳhud usī ne pukārā kabhī kabhī

    le Dūbtā hai dil ko sahārā kabhī kabhī

    mañjdhār ban gayā hai kinārā kabhī kabhī

    ye bhī huā hai haal hamārā kabhī kabhī

    apne ko ham ne aap pukārā kabhī kabhī

    apne se be-niyāz huā rahā huuñ maiñ

    sun sun ke tum se haal tumhārā kabhī kabhī

    saath apne shām-e-hijr ke jāgūñ ki aas bhī

    le Dūbtā hai subah taarā kabhī kabhī

    tūfāñ se bachne vaale bahut shādmāñ na ho

    kashtī pe phaT paḌā hai kinārā kabhī kabhī

    'manzar' shikāyatoñ talāfī zarūr hai

    ik sajda shukr bhī ḳhudārā kabhī kabhī

    chamka hai yun nasib ka tara kabhi kabhi

    hum ko to KHud usi ne pukara kabhi kabhi

    le Dubta hai dil ko sahaara kabhi kabhi

    manjdhaar ban gaya hai kinara kabhi kabhi

    ye bhi hua hai haal hamara kabhi kabhi

    apne ko hum ne aap pukara kabhi kabhi

    apne se be-niyaz hua ja raha hun main

    sun sun ke tum se haal tumhaara kabhi kabhi

    sath apne sham-e-hijr ke jagun ki aas bhi

    le Dubta hai subah ka tara kabhi kabhi

    tufan se bachne wale bahut shadman na ho

    kashti pe phaT paDa hai kinara kabhi kabhi

    'manzar' shikayaton ki talafi zarur hai

    ek sajda shukr ka bhi KHudara kabhi kabhi

    Source:

    ManzaristanáDeewan-e-Manzarâ (Pg. ebook-124 page-123)

    • Author: Syed Jafar Husain Manzar Lakhnawi
      • Edition: 1962
      • Publisher: Shiri Tulshi Ram Vesh
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now