Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh bujhne lage aur chhai tariki

Rakib Mukhtar

charagh bujhne lage aur chhai tariki

Rakib Mukhtar

MORE BYRakib Mukhtar

    charāġh bujhne lage aur chhā.ī tārīkī

    chukā rahā thā maiñ qīmat havā se yaarī

    soch bhī nahīñ saktā jis ehtimām ke saath

    kaTe shajar pe parindoñ ne āh-o-zārī

    vo jis ishq mirā juzv-e-rūh ban gayā thā

    usī ne mujh se mohabbat bhī iḳhtiyārī

    tumhārā vajd meñ aanā faqat dikhāvā thā

    vo kaifiyat nahīñ thī jo ḳhud pe taarī

    tumhāre shahr hurmat paas rakhte hue

    adū koī na banāyā sabhī se yaarī

    jahāñ ḳhudā azaañ ho rahī ho giit nazr

    sunegā kaun vahāñ par sadā bhikārī

    charagh bujhne lage aur chhai tariki

    chuka raha tha main qimat hawa se yari ki

    tu soch bhi nahin sakta jis ehtimam ke sath

    kaTe shajar pe parindon ne aah-o-zari ki

    wo jis ka ishq mera juzw-e-ruh ban gaya tha

    usi ne mujh se mohabbat bhi iKHtiyari ki

    tumhaara wajd mein aana faqat dikhawa tha

    wo kaifiyat hi nahin thi jo KHud pe tari ki

    tumhaare shahr ki hurmat ka pas rakhte hue

    adu koi na banaya sabhi se yari ki

    jahan KHuda ki azan ho rahi ho git ki nazr

    sunega kaun wahan par sada bhikari ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now