charagh-e-talluq bujha dene wale
charāġh-e-ta'alluq bujhā dene vaale
ye jhoñke kahāñ haiñ havā dene vaale
kisī moḌ par kyā kabhī mil sakeñge
ham ik dūsre ko sadā dene vaale
karūñ kaise shāmil tujhe raftagāñ meñ
mujhe zindagī kā pata dene vaale
khaḌe haiñ magar sab se pīchhe khaḌe haiñ
zamāne ko ham rāsta dene vaale
ye duniyā hai pyāre mohabbat se ḳhālī
ye raste haiñ 'ġhā.er' thakā dene vaale
charagh-e-ta'alluq bujha dene wale
ye jhonke kahan hain hawa dene wale
kisi moD par kya kabhi mil sakenge
hum ek dusre ko sada dene wale
karun kaise shamil tujhe raftagan mein
mujhe zindagi ka pata dene wale
khaDe hain magar sab se pichhe khaDe hain
zamane ko hum rasta dene wale
ye duniya hai pyare mohabbat se KHali
ye raste hain 'ghaer' thaka dene wale
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 45)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.