Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh hathon ke bujh rahe hain sitara har rah-guzar mein rakh de

Ateequllah

charagh hathon ke bujh rahe hain sitara har rah-guzar mein rakh de

Ateequllah

MORE BYAteequllah

    charāġh hāthoñ ke bujh rahe haiñ sitāra har rah-guzar meñ rakh de

    utaar de chāñd us ke dar par siyāh din mere ghar meñ rakh de

    kahīñ kahīñ koī rabt-e-maḳhfī ibārat-e-muntashar meñ rakh de

    gurez par haiñ nishān saare taraf bhī koī safar meñ rakh de

    talab talab ā.ina-sifat hai ḳharāb-o-ḳhasta haiñ aks saare

    ye nekiyāñ bhī haiñ sar-barahna latāfat-e-ḳhair shar meñ rakh de

    nashāt-āvar hai ye udāsī ek uḌtā huā lamha

    mabādā tāq-e-rajā ho vīrāñ sharāra ik chashm-e-tar meñ rakh de

    ye sarf-o-hāsil-gazīda duniyā na din mere na merī rāteñ

    kahāñ talak dekhtā jā.ūñ samā.ateñ kuchh nazar meñ rakh de

    mire ḳhudā mere jism-o-jāñ ke ḳhudā mire haath jhaḌ na jaa.eñ

    duā tah-e-sañg-e-lab gaḌī hai asar zarā asar meñ rakh de

    badan hai qila-e-havā hai kahīñ se aa.uuñ kahīñ se jā.ūñ

    hazāroñ raḳhne paḌe hue haiñ uThā ke dīvār dar meñ rakh de

    charagh hathon ke bujh rahe hain sitara har rah-guzar mein rakh de

    utar de chand us ke dar par siyah din mere ghar mein rakh de

    kahin kahin koi rabt-e-maKHfi ibarat-e-muntashar mein rakh de

    gurez par hain nishan sare taraf bhi koi safar mein rakh de

    talab talab aaina-sifat hai KHarab-o-KHasta hain aks sare

    ye nekiyan bhi hain sar-barahna latafat-e-KHair shar mein rakh de

    nashat-awar hai ye udasi ka ek uDta hua sa lamha

    mabaada taq-e-raja ho viran sharara ek chashm-e-tar mein rakh de

    ye sarf-o-hasil-gazida duniya na din hi mere na meri raaten

    kahan talak dekhta hi jaun samaaten kuchh nazar mein rakh de

    mere KHuda mere jism-o-jaan ke KHuda mere hath jhaD na jaen

    dua tah-e-sang-e-lab gaDi hai asar zara sa asar mein rakh de

    badan hai ya qila-e-hawa hai kahin se aaun kahin se jaun

    hazaron raKHne paDe hue hain uTha ke diwar dar mein rakh de

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now