Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-KHush-ab ki tamsil mein rahne wale

Shahid Kamal

chashm-e-KHush-ab ki tamsil mein rahne wale

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    chashm-e-ḳhush-āb tamsīl meñ rahne vaale

    ham parinde haiñ isī jhiil meñ rahne vaale

    ham ko raas aatī nahīñ kūcha-e-jānāñ havā

    ham haiñ alfāz tahvīl meñ rahne vaale

    kitne āshob gazīda se nazar aate haiñ

    usrat-e-ḳhāna-e-takmīl meñ rahne vaale

    apne alfāz se tajsīm karūñgā tujh ko

    mujh pe ho merī taḳh.īl meñ rahne vaale

    vus.at-e-zaḳhm tujh ko bhī nahīñ andāza

    ai mire zaḳhm tāvīl meñ rahne vaale

    kis liye karte ho tum harf-e-malāmat se gurez

    ham kahāñ sohbat-e-jibrīl meñ rahne vaale

    mere lafzoñ ko bhī dete haiñ vo āyāt-e-shifā

    haañ vahī hurmat-e-injīl meñ rahne vaale

    tujhe 'shāhid' zī-jāh ne āzād kiyā

    ai mire hukm ta.amīl meñ rahne vaale

    chashm-e-KHush-ab ki tamsil mein rahne wale

    hum parinde hain isi jhil mein rahne wale

    hum ko ras aati nahin kucha-e-jaanan ki hawa

    hum hain alfaz ki tahwil mein rahne wale

    kitne aashob gazida se nazar aate hain

    usrat-e-KHana-e-takmil mein rahne wale

    apne alfaz se tajsim karunga tujh ko

    mujh pe wa ho meri taKHil mein rahne wale

    wusat-e-zaKHm ka tujh ko bhi nahin andaza

    ai mere zaKHm ki tawil mein rahne wale

    kis liye karte ho tum harf-e-malamat se gurez

    hum kahan sohbat-e-jibril mein rahne wale

    mere lafzon ko bhi dete hain wo aayat-e-shifa

    han wahi hurmat-e-injil mein rahne wale

    ja tujhe 'shahid' zi-jah ne aazad kiya

    ai mere hukm ki tamil mein rahne wale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now