Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm se ghafil na hua chahiye

Joshish Azimabadi

chashm se ghafil na hua chahiye

Joshish Azimabadi

MORE BYJoshish Azimabadi

    chashm se ġhāfil na huā chāhiye

    us ke muqābil na huā chāhiye

    dil zarar jaan nuqsān hai

    ab kahīñ maa.il na huā chāhiye

    hai but-e-ḳhuñ-ḳhār bahut tund-ḳhū

    bosa ke saa.il na huā chāhiye

    aql ko dil chhoḌ rah-e-ishq meñ

    hamrah-e-kāhil na huā chāhiye

    roz tanazzul meñ hai māh-e-tamām

    dahr meñ kāmil na huā chāhiye

    yaar kamar bāñdhiye insāf par

    bar-sar-e-bātil na huā chāhiye

    qatl ke qābil hai ye 'joshish' tirā

    ġhair ke qātil na huā chāhiye

    chashm se ghafil na hua chahiye

    us ke muqabil na hua chahiye

    dil ka zarar jaan ka nuqsan hai

    ab kahin mail na hua chahiye

    hai but-e-KHun-KHar bahut tund-KHu

    bosa ke sail na hua chahiye

    aql ko dil chhoD rah-e-ishq mein

    hamrah-e-kahil na hua chahiye

    roz tanazzul mein hai mah-e-tamam

    dahr mein kaamil na hua chahiye

    yar kamar bandhiye insaf par

    bar-sar-e-baatil na hua chahiye

    qatl ke qabil hai ye 'joshish' tera

    ghair ke qatil na hua chahiye

    Source:

    Deewan-e-Joshish(Rekhta Website (Pg. 329)

      • Edition: 1976
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now