aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chehron ko to paDhte hain mohabbat nahin karte

Jazib Quraishi

chehron ko to paDhte hain mohabbat nahin karte

Jazib Quraishi

MORE BYJazib Quraishi

    chehroñ ko to paḌhte haiñ mohabbat nahīñ karte

    kyā log haiñ zaḳhmoñ himāyat nahīñ karte

    zanjīr jhankār se ābād haiñ zindāñ

    ham lazzat-e-guftār hasrat nahīñ karte

    ḳhush-rañg ujāloñ barastī huī būñdeñ

    girtī huī dīvār se nafrat nahīñ karte

    patthar fasīloñ meñ unheñ nasb kiyā jaa.e

    jo apnī rivāyat se baġhāvat nahīñ karte

    vo merī talab ho ki tirā lams-e-badan ho

    nashshe kabhī andāza-e-vahshat nahīñ karte

    chehron ko to paDhte hain mohabbat nahin karte

    kya log hain zaKHmon ki himayat nahin karte

    zanjir ki jhankar se aabaad hain zindan

    hum lazzat-e-guftar ki hasrat nahin karte

    KHush-rang ujalon ki barasti hui bunden

    girti hui diwar se nafrat nahin karte

    patthar ki fasilon mein unhen nasb kiya jae

    jo apni riwayat se baghawat nahin karte

    wo meri talab ho ki tera lams-e-badan ho

    nashshe kabhi andaza-e-wahshat nahin karte

    Source:

    Shanasai (Pg. B-87 E-88)

    • Author: Jazib Quraishi
      • Edition: 1973-1954
      • Publisher: Maktaba Kamran, Karachi
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now