Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhup kar kahin taskin-e-nazar baiTh gaya hai

Mukhtar Ansari

chhup kar kahin taskin-e-nazar baiTh gaya hai

Mukhtar Ansari

MORE BYMukhtar Ansari

    chhup kar kahīñ taskīn-e-nazar baiTh gayā hai

    dekho use DhūñDo vo kidhar baiTh gayā hai

    dil to vo hālat hai ki kyā tujh ko batā.eñ

    sun kar tire jaane ḳhabar baiTh gayā hai

    is baar to sīdhā lagā dil pe nishāna

    sīdhā tirā tīr-e-nazar baiTh gayā hai

    rātoñ ko satāne lagī phir yaad tumhārī

    lagtā hai hameñ hijr Dar baiTh gayā hai

    ham jaisoñ phir pūchh parakh hone lagī hai

    phir ham meñ koī ahl-e-hunar baiTh gayā hai

    maiñ ḳhud farishtoñ jamā.at se nahīñ huuñ

    par mere jo andar thā udhar baiTh gayā hai

    chhup kar kahin taskin-e-nazar baiTh gaya hai

    dekho use DhunDo wo kidhar baiTh gaya hai

    dil ki to wo haalat hai ki kya tujh ko bataen

    sun kar tere jaane ki KHabar baiTh gaya hai

    is bar to sidha hi laga dil pe nishana

    sidha hi tera tir-e-nazar baiTh gaya hai

    raaton ko satane lagi phir yaad tumhaari

    lagta hai hamein hijr ka Dar baiTh gaya hai

    hum jaison ki phir puchh parakh hone lagi hai

    phir hum mein koi ahl-e-hunar baiTh gaya hai

    main KHud hi farishton ki jamaat se nahin hun

    par mere jo andar tha udhar baiTh gaya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now