aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chori kahin khule na nasim-e-bahaar ki

Agha Hashr Kashmiri

chori kahin khule na nasim-e-bahaar ki

Agha Hashr Kashmiri

MORE BYAgha Hashr Kashmiri

    chorī kahīñ khule na nasīm-e-bahār

    ḳhush-bū uḌā ke laa.ī hai gesū-e-yār

    allāh rakkhe us salāmat ġhurūr-e-husn

    āñkhoñ ko jis ne hai sazā intizār

    gulshan meñ dekh kar mire mast-e-shabāb ko

    sharmā.ī rahī hai javānī bahār

    ai mere dil ke chain mire dil raushnī

    aa aur sub.h kar de shab-e-intizār

    jur.at to dekhiyegā nasīm-e-bahār

    ye bhī balā.eñ lene lagī zulf-e-yār

    ai 'hashr' dekhnā to ye hai chaudhvīñ chāñd

    āsmāñ ke haath meñ tasvīr yaar

    chori kahin khule na nasim-e-bahaar ki

    KHush-bu uDa ke lai hai gesu-e-yar ki

    allah rakkhe us ka salamat ghurur-e-husn

    aankhon ko jis ne di hai saza intizar ki

    gulshan mein dekh kar mere mast-e-shabab ko

    sharmai ja rahi hai jawani bahaar ki

    ai mere dil ke chain mere dil ki raushni

    aa aur subh kar de shab-e-intizar ki

    jurat to dekhiyega nasim-e-bahaar ki

    ye bhi balaen lene lagi zulf-e-yar ki

    ai 'hashr' dekhna to ye hai chaudhwin ka chand

    ya aasman ke hath mein taswir yar ki

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Farida Khanum

    Farida Khanum

    Mukhtar Begum

    Mukhtar Begum

    RECITATIONS

    Farida Khanum

    Farida Khanum,

    Farida Khanum

    chori kahin khule na nasim-e-bahaar ki Farida Khanum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now