Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chupke chupke yaad ye kis ki aai hai

Abdul Majeed Khan Majeed

chupke chupke yaad ye kis ki aai hai

Abdul Majeed Khan Majeed

MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed

    chupke chupke yaad ye kis aa.ī hai

    dard meñ Duubī aaj mirī tanhā.ī hai

    jis ne kiyā barbād hamāre gulshan ko

    ġhair nahīñ hai vo apnā bhaa.ī hai

    kaun hai apnā kaun parāyā kaisī vafā

    sach kahne meñ apnī rusvā.ī hai

    apnī ġharaz ke bande haiñ sab log yahāñ

    sab maqsad jag meñ ḳhud-ārā.ī hai

    kis huī hai jo terī merī hogī

    ye duniyā to yug yug se harjā.ī hai

    lauT ke pīchhe jaanā bhī hai nā-mumkin

    aage dushman pīchhe gahrī khaa.ī hai

    ūñchī ūñchī bāteñ kyoñ kartā hai 'majīd'

    sastī shohrat bhī shaidā.ī hai

    chupke chupke yaad ye kis ki aai hai

    dard mein Dubi aaj meri tanhai hai

    jis ne kiya barbaad hamare gulshan ko

    ghair nahin hai wo apna hi bhai hai

    kaun hai apna kaun paraya kaisi wafa

    sach kahne mein apni hi ruswai hai

    apni gharaz ke bande hain sab log yahan

    sab ka maqsad jag mein KHud-arai hai

    kis ki hui hai jo teri meri hogi

    ye duniya to yug yug se harjai hai

    lauT ke pichhe jaana bhi hai na-mumkin

    aage dushman pichhe gahri khai hai

    unchi unchi baaten kyon karta hai 'majid'

    sasti shohrat ka tu bhi shaidai hai

    Source:

    (Pg. 93)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now