aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dahan kholengi apni sipiyan aahista aahista

Abbas Tabish

dahan kholengi apni sipiyan aahista aahista

Abbas Tabish

MORE BYAbbas Tabish

    dahan kholeñgī apnī sīpiyāñ āhista āhista

    guzar dariyā se ai abr-e-ravāñ āhista āhista

    lahū to ishq ke āġhāz meñ jalne lagtā hai

    magar hoñToñ tak aatā hai dhuāñ āhista āhista

    palaTnā bhī agar chāheñ palaT kar nahīñ sakte

    kahāñ se chal ke ham aa.e kahāñ āhista āhista

    kahīñ laalī bharī thālī na gir jaa.e samundar meñ

    chalā hai shaam sūraj kahāñ āhista āhista

    abhī is dhuup chhatrī tale kuchh phuul khilne do

    zamīñ badlegī apnā āsmāñ āhista āhista

    kise ab TuuT ke rone fursat kār-e-duniyā meñ

    chalī jaatī hai ik rasm-e-fuġhāñ āhista āhista

    mire dil meñ kisī hasrat ke pas-andāz hone tak

    nimaT jā.egā kār-e-jahāñ āhista āhista

    makīñ jab niiñd ke saa.e meñ sustāne lageñ 'tābish'

    safar karte haiñ bastī ke makāñ āhista āhista

    dahan kholengi apni sipiyan aahista aahista

    guzar dariya se ai abr-e-rawan aahista aahista

    lahu to ishq ke aaghaz hi mein jalne lagta hai

    magar honTon tak aata hai dhuan aahista aahista

    palaTna bhi agar chahen palaT kar ja nahin sakte

    kahan se chal ke hum aae kahan aahista aahista

    kahin lali bhari thaali na gir jae samundar mein

    chala hai sham ka suraj kahan aahista aahista

    abhi is dhup ki chhatri tale kuchh phul khilne do

    zamin badlegi apna aasman aahista aahista

    kise ab TuT ke rone ki fursat kar-e-duniya mein

    chali jati hai ek rasm-e-fughan aahista aahista

    mere dil mein kisi hasrat ke pas-andaz hone tak

    nimaT hi jaega kar-e-jahan aahista aahista

    makin jab nind ke sae mein sustane lagen 'tabish'

    safar karte hain basti ke makan aahista aahista

    Source:

    Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 107)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now