Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

darichon mein charaghon ki kami mahsus hoti hai

Azhar Adeeb

darichon mein charaghon ki kami mahsus hoti hai

Azhar Adeeb

MORE BYAzhar Adeeb

    darīchoñ meñ charāġhoñ kamī mahsūs hotī hai

    yahāñ to phir havā barhamī mahsūs hotī hai

    vo ab bhī guftugū kartā hai pahle tarah lekin

    zarā barf lahje meñ jamī mahsūs hotī hai

    tire va.ade saaya ho to sahrā ke safar meñ bhī

    jhulastī lau havā-e-shabnamī mahsūs hotī hai

    to kyā maiñ zabt ke me.aar par puurā nahīñ utrā

    to kyā merī in āñkhoñ meñ namī mahsūs hotī hai

    na jaane terī hālat kyā hai us ko dekh kar 'az.har'

    mujhe to dil dhaḌkan bhī thamī mahsūs hotī hai

    darichon mein charaghon ki kami mahsus hoti hai

    yahan to phir hawa ki barhami mahsus hoti hai

    wo ab bhi guftugu karta hai pahle ki tarah lekin

    zara si barf lahje mein jami mahsus hoti hai

    tere wade ka saya ho to sahra ke safar mein bhi

    jhulasti lau hawa-e-shabnami mahsus hoti hai

    to kya main zabt ke mear par pura nahin utra

    to kya meri in aankhon mein nami mahsus hoti hai

    na jaane teri haalat kya hai us ko dekh kar 'azhar'

    mujhe to dil ki dhaDkan bhi thami mahsus hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now