Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

darwazon par din bhar ki thakan tahrir hui

Irfan Siddiqi

darwazon par din bhar ki thakan tahrir hui

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    darvāzoñ par din bhar thakan tahrīr huī

    mire shahr shab har chaukhaT zanjīr huī

    sab dhuup utar ga.ī TuuTī huī dīvāroñ se

    magar ek kiran mere ḳhvāboñ meñ asiir huī

    mirā suunā ghar mire siine se lag kar rotā hai

    mire bhaa.ī tumheñ is baar bahut tāḳhīr huī

    hameñ rañj bahut thā dasht be-imkānī

    lo ġhaib se phir ik shakl zuhūr-pazīr huī

    koī hairat mere lahje pahchān banī

    koī chāhat mere lafzoñ tāsīr huī

    is dard ke qātil-manzar ko ilzām na do

    ye to dekhne vaalī āñkhoñ taqsīr huī

    kisī lashkar se kahīñ bahtā paanī ruktā hai

    kabhī jū-e-ravāñ kisī zālim jāgīr huī

    phir lauh pe luTne vaale ḳhazāne likhe ga.e

    mujhe ab ke baras bhī daulat-e-jāñ taqdīr huī

    darwazon par din bhar ki thakan tahrir hui

    mere shahr ki shab har chaukhaT ki zanjir hui

    sab dhup utar gai TuTi hui diwaron se

    magar ek kiran mere KHwabon mein asir hui

    mera suna ghar mere sine se lag kar rota hai

    mere bhai tumhein is bar bahut taKHir hui

    hamein ranj bahut tha dasht ki be-imkani ka

    lo ghaib se phir ek shakl zuhur-pazir hui

    koi hairat mere lahje ki pahchan bani

    koi chahat mere lafzon ki tasir hui

    is dard ke qatil-manzar ko ilzam na do

    ye to dekhne wali aankhon ki taqsir hui

    kisi lashkar se kahin bahta pani rukta hai

    kabhi ju-e-rawan kisi zalim ki jagir hui

    phir lauh pe luTne wale KHazane likhe gae

    mujhe ab ke baras bhi daulat-e-jaan taqdir hui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now