aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

darwesh hun jo ganj mayassar nahin to kya

Kaifi Kakorvi

darwesh hun jo ganj mayassar nahin to kya

Kaifi Kakorvi

MORE BYKaifi Kakorvi

    darvesh huuñ jo ganj mayassar nahīñ to kyā

    dil se ġhanī huuñ paas mire zar nahīñ to kyā

    lākhoñ sadā-e-sūr haiñ pāzeb-e-yār meñ

    chham-chham shor fitna-e-mahshar nahīñ to kyā

    sailāb-e-ashk mauja-e-tūfān-e-nūh hai

    āñkhoñ meñ band saat samundar nahīñ to kyā

    rang-e-hinā se haath butoñ ke haiñ laal laal

    phir ye hamāre ḳhuun mahzar nahīñ to kyā

    lākhoñ haiñ mo.ajize lab-e-jāñ-baḳhsh-e-yār meñ

    rashk-e-masīh haiñ vo payambar nahīñ to kyā

    sar-ḳhush haiñ ham ḳhayāl meñ ik chashm-e-mast ke

    saaqī hamāre daur meñ sāġhar nahīñ to kyā

    mauzūñ-kalām pāk-bayān ḳhush-ḳhayāl hai

    'kaifī' suḳhan-shanās suḳhanvar nahīñ to kyā

    darwesh hun jo ganj mayassar nahin to kya

    dil se ghani hun pas mere zar nahin to kya

    lakhon sada-e-sur hain pazeb-e-yar mein

    chham-chham ka shor fitna-e-mahshar nahin to kya

    sailab-e-ashk mauja-e-tufan-e-nuh hai

    aankhon mein band sat samundar nahin to kya

    rang-e-hina se hath buton ke hain lal lal

    phir ye hamare KHun ka mahzar nahin to kya

    lakhon hain moajize lab-e-jaan-baKHsh-e-yar mein

    rashk-e-masih hain wo payambar nahin to kya

    sar-KHush hain hum KHayal mein ek chashm-e-mast ke

    saqi hamare daur mein saghar nahin to kya

    mauzun-kalam pak-bayan KHush-KHayal hai

    'kaifi' suKHan-shanas suKHanwar nahin to kya

    Source:

    Intikhab Deewan-e-Kaifi (Pg. 41)

    • Author: Kaifi Kakorvi
      • Publisher: Zaki kakorvi
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now