Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht-e-wahshat ne phir pukara hai

Farhat Shahzad

dasht-e-wahshat ne phir pukara hai

Farhat Shahzad

MORE BYFarhat Shahzad

    dasht-e-vahshat ne phir pukārā hai

    zindagī aaj gavārā hai

    Dūbne se bachā ke māñjhī ne

    dard ke ghaaT utārā hai

    laakh mujh se hai magar mujh meñ

    kab tirī ham-sarī yaarā hai

    baat apnī anā hai varna

    yuuñ to do haath par kinārā hai

    dil gunjān rahguzāroñ meñ

    karb-e-tanhā.ī sahārā hai

    log marte haiñ band āñkhoñ se

    ham ko is āgahī ne maarā hai

    jān-e-'shahzād' zindagī safar

    ham ne be-kārvāñ guzārā hai

    dasht-e-wahshat ne phir pukara hai

    zindagi aaj tu gawara hai

    Dubne se bacha ke manjhi ne

    dard ke ghaT la utara hai

    lakh tu mujh se hai magar mujh mein

    kab teri ham-sari ka yara hai

    baat apni ana ki hai warna

    yun to do hath par kinara hai

    dil ki gunjaan rahguzaron mein

    karb-e-tanhai ka sahaara hai

    log marte hain band aankhon se

    hum ko is aagahi ne mara hai

    jaan-e-'shahzad' zindagi ka safar

    hum ne be-karwan guzara hai

    Source:

    Aaina Jhuta hai (Pg. 86)

    • Author: Farhat Shahzad
      • Edition: 1997
      • Publisher: Al-hamd Publication
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now