aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht ki viraniyon mein KHema-zan hota hua

Salim Saleem

dasht ki viraniyon mein KHema-zan hota hua

Salim Saleem

MORE BYSalim Saleem

    dasht vīrāniyoñ meñ ḳhema-zan hotā huā

    mujh meñ Thahrā hai koī be-pairahan hotā huā

    ek parchhā.īñ mire qadmoñ meñ bal khātī huī

    ek sūraj mere māthe shikan hotā huā

    ek kashtī ġharq merī aañkh meñ hotī huī

    ik samundar mere andar maujzan hotā huā

    juz hamāre kaun āḳhir dekhtā is kaam ko

    ruuh ke andar koī kār-e-badan hotā huā

    mere saare lafz merī zaat meñ kho.e hue

    zikr us anjuman-dar-anjuman hotā huā

    dasht ki viraniyon mein KHema-zan hota hua

    mujh mein Thahra hai koi be-pairahan hota hua

    ek parchhain mere qadmon mein bal khati hui

    ek suraj mere mathe ki shikan hota hua

    ek kashti gharq meri aankh mein hoti hui

    ek samundar mere andar maujzan hota hua

    juz hamare kaun aaKHir dekhta is kaam ko

    ruh ke andar koi kar-e-badan hota hua

    mere sare lafz meri zat mein khoe hue

    zikr us ka anjuman-dar-anjuman hota hua

    RECITATIONS

    Salim Saleem

    Salim Saleem,

    Salim Saleem

    dasht ki viraniyon mein KHema-zan hota hua Salim Saleem

    Source:

    Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 25)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2017

    Source:

    Wahima Vajood Ka (Pg. 23)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: 2nd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2022
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now