aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht o junun ka silsila mere lahu mein aa gaya

Ahmad Khayal

dasht o junun ka silsila mere lahu mein aa gaya

Ahmad Khayal

MORE BYAhmad Khayal

    dasht o junūñ silsila mere lahū meñ aa gayā

    ye kis jagah pe maiñ tumhārī justujū meñ aa gayā

    vo sarv-qāmat ho gayā hai dekhte dekhte

    jaane kahāñ se zor us numū meñ aa gayā

    bas chand lamhe pesh-tar vo paañv dho ke palTā hai

    aur nuur sailāb is aabjū meñ aa gayā

    chāroñ taraf titliyoñ ke raqs hone lag ga.e

    aa gayā to baaġh saarā rañg-o-bū meñ aa gayā

    maiñ jhūmte jhūmte 'ahmad' tamāshā ban gayā

    jab aks us ke raqs mere subū meñ aa gayā

    dasht o junun ka silsila mere lahu mein aa gaya

    ye kis jagah pe main tumhaari justuju mein aa gaya

    wo sarw-qamat ho gaya hai dekhte hi dekhte

    jaane kahan se zor sa us ki numu mein aa gaya

    bas chand lamhe pesh-tar wo panw dho ke palTa hai

    aur nur ka sailab sa is aabju mein aa gaya

    chaaron taraf hi titliyon ke raqs hone lag gae

    tu aa gaya to bagh sara rang-o-bu mein aa gaya

    main jhumte hi jhumte 'ahmad' tamasha ban gaya

    jab aks us ke raqs ka mere subu mein aa gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now