aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dast-e-kohsar se phisla hua patthar hun main

Kavish Badri

dast-e-kohsar se phisla hua patthar hun main

Kavish Badri

MORE BYKavish Badri

    dast-e-kohsār se phislā huā patthar huuñ maiñ

    sar-ba-sar sañg-tarāshoñ muqaddar huuñ maiñ

    ghūñT lamhāt ke dhulā jaatā huuñ

    an-ginat vaqt ke dhāroñ shanāvar huuñ maiñ

    kyā Dubo detā huuñ maiñ dil ke kueñ meñ ḳhud ko

    chashm-e-be-nūr meñ yūsuf barādar huuñ maiñ

    kirchiyāñ zehn meñ paivast haiñ palkoñ tarah

    chashm-e-ayyām se chhūTā huā sāġhar huuñ maiñ

    oḌh letī hai mujhe sard fazā devī

    karb dhuup meñ taptī huī chādar huuñ maiñ

    merī āvāz ko āvāz ne taqsīm kiyā

    radio meñ huuñ telephone ke andar huuñ maiñ

    na.e māhaul se mānūs nahīñ huuñ ab tak

    nanhe bachche tarah ḳhol ke andar huuñ maiñ

    chand ash.ār mile type-shuda daftar meñ

    type-writer pe biThāyā huā bandar huuñ maiñ

    dast-e-kohsar se phisla hua patthar hun main

    sar-ba-sar sang-tarashon ka muqaddar hun main

    ghunT lamhat ki pi pi ke dhula jata hun

    an-ginat waqt ke dhaaron ka shanawar hun main

    kya Dubo deta hun main dil ke kuen mein KHud ko

    chashm-e-be-nur mein yusuf ka baradar hun main

    kirchiyan zehn mein paiwast hain palkon ki tarah

    chashm-e-ayyam se chhuTa hua saghar hun main

    oDh leti hai mujhe sard faza ki dewi

    karb ki dhup mein tapti hui chadar hun main

    meri aawaz ko aawaz ne taqsim kiya

    radio mein hun telephone ke andar hun main

    nae mahaul se manus nahin hun ab tak

    nanhe bachche ki tarah KHol ke andar hun main

    chand ashaar mile type-shuda daftar mein

    type-writer pe biThaya hua bandar hun main

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-065) (Pg. ebook-67 page-66)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now